Dardmand E Ishq HaiN, Gham Se Na GhabraayeNge Hum …



Dardmand E ishq haiN, gham se na ghabraayeNge hum
Shaairy karte raheNge!!  aur mar jaayeNge hum


Hum to deewaane haiN humko maslehat se kya Gharaz
Apni chaadar se bhi zeyaadaa, paaoN phailayeNge hum


Ishq ki barbaadiyaaN, Qismat se hoti haiN naseeb!!
Jis qadar bigReNge utnaa hi saNwar jaayeNge hum


HoshiyaaroN ko mubaarak teri mahfil ae Khirad!!
Subh aayeNge tere dar par na shaam aayeNge hum


Apne aaNsoo hi jawaab E purshish E ahwaal haiN
Khud nahi samjhe to kya auroN ko samjhaayeNge hum


Ab ke phir barsaat meN ganj E shaheedaaN par chaleN
AasmaaN royegaa aur apni ghazal gaayeNge hum


9 thoughts on “Dardmand E Ishq HaiN, Gham Se Na GhabraayeNge Hum …

  1. kaleja tham lo roodad-e-gham ham ko sunane do
    tumhein dukha hua dil ham dikhate hain dikhane do

    usi ke dam se thodi roshni hai khana-e-dil mein
    bujhate kyun ho sham-e-aarzoo ko jhilmilane do

    usi se tum kisee ke zulf ki roodad sun lena
    udhar dekho wo dewana chala aata hai aane do

    suna hai ishq ka meraj pinhaN hai shahadat me
    chhuri lao mujhe bhi apni kismat aajmane do

    na dagh aayega apne daaman-e-husn-e-tabiyat per
    wafa per mere jo tohmat lagate hain lagane do

    zamana sabr kar leta hai Aajiz ham bhi kar lenge
    khalish dil ki mita lene ke do ansoo bahane do

  2. haqiiqatoN kaa jalaal deNge, sadaaqatoN kaa jamaal deNge
    tujhe bhi ham ai! Gham-e-zamanaa, Ghazal ke saaNche meN Dhaal deNge

    tapish patangoN ki bakhsh deNge, lahuu chiraaghoN meN Dhaal deNge
    ham unki mehfil meN raH gaye haiN, tau unki mehfil sambhaal deNge

    na bandaa-e- aql-o-hosh deNge, na ahle fiqr-o-khayaal deNge
    tumhaarii zulfoN ko jo daraazee tumhaare aashuftaa haal deNge

    ye aql waale isii tarah se hameN fareb-e-kamaal deNge
    junuuN ke daaman se phuul chun kar, Khirad ke daaman meN Daal deNge

  3. jis par bhi jawaani aati aur thora jamal aa jata hai,
    mat pooch sitamgari mein usay kis darja kamal aa jata hai

    darya-e-ghazal ke thehray huay maujon mein ubaal aa jata hai,
    who tanz jab hum pe karte hain humko bhi jalal aa jata hai

    hum bhi na karein kyoun tark-e-wafa aksar yeh khayal aa jata hai,
    phir waz’a ki baat aa jati hai ghairat ka sawaal aa jata hai

    jab koi naya gul khilta hai shayir ka kalaija hilta hai,
    duniya ko ghazal mil jaati hai aur dil pe wabaal aa jata hai

    ashkon ke musafir saff baandhay khamosh guzarne lagte hain
    phir khwab kahan in aankhon mein jab un ka khayal aa jata hai

    ab fasl-e-bahari aati hai ab fasl-e-bahari aati hai,
    ek saal guzar jata hai yahin aur doosra saal aa jata hai

    _________________
    ki Muhammad se wafa tu ne to hum tere hain,
    yeh jahan cheez hai kia, loh-o-qalam tere hain ..

  4. chhuri jinke haathon se khaanaa parhe hai
    ghazal bhi unheen ko sunaanaa parhe hai

    tabiyat ko qaaboo mein laanaa parhe hai
    utthe hai kahaan gham, uthaanaa parhe hai

    kuch aasaan naheen mansab-e-surkh’ruee
    kaee baar maqtal mein jaanaa parhe hai

    na aa dardmandon ki mehfil mein pyaare
    yahaan umr bhar dil jalaana parhe hai

  5. MERI LAEY SE LAEY WO MILAYENGE KYA
    JO ROYEY NAHIIN HAIN WO GAYENGE KYA
    KHIZAAN MEIN NA AYA TARAPNA JINHEIN
    BAHARON MEI WO MUSKURAYEN GE KYA
    MHOABBAT HI JAB DARMEYAN MEIN NAHIN
    WO AAEIN GE KYA HAM BULAIN GE KYA

    SAB JAFA SAB SITAM BHOOL JAATE
    TUM BULATE TO KYA HAM NA AATE
    GHAM NE GANA BAJANA SIKHAYA
    JAAN DEYDEGEN GAATE BAJATE

    AYE KASH KALLM AATA, EK GEET SUNA JAATA
    DIL/GEE APNA BAHAL JAATA ,KAMBAKHT KA KYA JATA

    PUCHO HO JO TUM HAMSE RONEY KA SABAB PYAREY
    HAM KAAHEY NAHIIN KAHTEY GAR HAM SE KAHA JAATA
    GUZRI HAI KUCH HAM PE GAR TUM PAR GUZAR JAATI
    TUM HAM SE AGAR KAHTEY HAM SE NA SUNA JATA

    DIL DARD KI BHATHTHI MEIN KAII BAAR JALEY HAI
    TAB EK GHAZAL HUSN KE SANCHEY MEIN DHALEY HAI

    JUDA JAB TAK TERI ZULFON SE PAECHO-KHAM NAHIIN HONGE
    SITAM DUNIA MEIN BADHTEY HI RAHENGE KAM NAHIIN HONGE

    ZAMAANA QADR KAR! HAAN QADR KAR HUM KAJ KULAAHON KI
    KE PAIDA IS NAMUNEY KEY JAWAN HAR DAM NAHIIN HONGE

  6. Sibghat bhai, aap ki bheji hui pahli ghazal main ne aaj post ki hai. Baqui dusri bhi insha allah baari baari mere blog par hongii. aap ka behad shukriya k aap ne yeh qeemti ghazlein bhejin

Leave a comment